Thursday, 13 October 2011

shayari ya sachai...

buja loogay har julasti aag ko tum
par judai se bada na hoga koi ghum
tadap ye pyar ki na thamegi kabhi
chahe barsayega ye ishq nadiya ansuoon ki...


koi jasbato se khilwaad karta hai to koi dil tood deta hai
aur koi hota hai jo hamesha wafa kar k b bewafai jhelta hai
kitne pyar se aur mohobat se banaya hoga is dharti ko khudrat ne
lekin yaha to insan apne matlab k liye uss khuda k naam se b khelta hai...


kisiko apna k thukrana, thukrake apnana pyar nahi hota
nafrat aur gusse se har koi apne gehre rishto ko hai khoota
zakhm jism k nahi satate itne
jitna insan apne "dard-e-dil" "dard-e-haal" par hai rota...


becheni b kitna tadpati hai is dil ko
jaise tanhai ruswa kar jaati hai mehfil ko
hosh nahi rehta khamosh b nahi rehta
hamesha deewana dhundta rehta hai apni manzil ko...

5 comments: